Sunday, June 24, 2007

Samjhouta

Dhoonta hoga khoji koi, Un chupe sawaloon ho,
Na koi sawal hi hai.. Par un am-sune jawaboon ko.

Kyon koi zindagi ke peche, Bhaga chala jata hai…,
Aur kisi ko kyon yeh zindagi, Bahaye leye majdharoon mein.

Kyon itne sawaloon ka, Na koi hisab na jawab hai.
aur is zindagi ki chalne ka- na taal-mel, na hisab hai.

Jiye jao apni zindagi, Zinda rakhne ko aur kisi,
Khush raho aur muskura-o, Na karo fikr kabhi.

Aap ki khushyaan hi kya, Na tajurba.. na umr hai,
Zindagi dekhi bhi kya... Aapko kya gham hai.

Chalte jate jo mile apna lo use bina sochhee-samjhe,
Aur zindagi baki hai, karne ko woh sab sam-jhoute.

Kya khwarisheen, kya ummedeen, Yehi duniya ki reet hai
Na socho, na samjhoon toh hi yeh ek geet hai.

Kya kare, kya na Karen, yeh duvidha bhi ajeeb hai.
Haalat se samjhouta kare, ya apni takdeer se.

No comments: