Wednesday, June 13, 2007

Door talak

Is safar ko kahan, kitni door talak hai jaana
Reh gaye peche sab, choot gaya zamana.

Barish ke intezaar mein, khada beech mazdhar mein
Tapti dhoop mein toh hai, en nazuk phasaloon ko sookh jana

Laut kar na aayega, chala gaya jo maazi
Waqt ki parwah use kya, jise hai bhool jana.

Milege toh, kya puchenge hum uss-se,
Jiska koi rishta nahi, uss-se kya batiyana.

Na koi shikwa bacha, Na koi shikayat hai.
Zindagi chal rahi, Khuda ki inayat hai.

Kya aap se kahen, Aap khud hi majboor hai.
En duniya ke siyasat karo ki, Halat se chur hai.

Intezaar kare kiska ab hum, Na koi paas, na door hai.
Qyamat ka karte magar, Aaj khuda bhi majboor hai.

1 comment:

Anonymous said...

Good words.