Sunday, June 10, 2007

Nazariya

Zindagi ka nazariya,
Un nazroon ke paar,
Woh parkhi ki ankhien,
Woh khoji ka saar.

Dard aur Kasak,
Woh koshish, woh sapne,
Es zindagi ka tana,
Bun rahe sab apne.

Khali ghar tha mera,
Bhar gaya khushboo se teri,
Tere pehlu mein ...
zindagi huyi inayat meri.

Humdard tha, humsafar nahi
Hoshiyar nahi, kamzarf nahi
Jo khoya woh kya khoya,
Gar saath nahi toh baat wahi.

No comments: