Wednesday, February 09, 2011

maazi

ek safar chalta raha..
kuch mEEl ke pathtar dhota raha..
maazi ke saath a irada..
aur wasl ka kuch wada..

woh ek-ek pather girte gaye..
aur miloon duur chalte gaye..
woh raah thi bahut lambi..
par waqt ke saath dhalte gaye..

kuch saathi mile, kuch saaki mile..
aur kuch tajurr-ba hum karte gaye..
na wasl ki chah.,na hijr ka khauf..
zindagi ko aankhon mein dekhte gaye..

kuch waade thee kiye usse..
kuch karm purana., aadha adhura..,
kuch andhere mein gumii..rahoon ko..
ujaloon mein hum dhoondte gaye

bhoor talak chalte rahe..
kuch shaakha-oon mein ulajhte rahe..
phir narm dhoop mein..
roshni ko chakhte rahe.

chalta raha maazi..
chor ke peche kuch yadeen..
kuch choti..dukhdaayi..aur kuch rumani batein..
safar itna peecha..raha na yaad kuch bhi..
bachi kuch hi manzinlein..
jaane kitna waqt bhi..