Tuesday, March 09, 2010

Raste dor talak

kya inteha-e waqt,
tera bhikoi jawab nahi,
badhkar aage chala,
guzare ka hisaab nahi.
Kuch naye maazi.,
Puchte mujhse hai ab,
Kya kuch dharkan-oon ka,
Tumko aagaz nahi.
Saaki ki mausiki,
Nasha-e gham bhi,
Maikhane se laut-ne ka,
Koi hisaab kitaab nahi.
Pakeezah hai rooh,
Nazroon mein hizaab sahi,
Maay ka saath nahi,
Par maikhane ka jawab nahi.
Lauten hai ghar par,
Bashinde’ door se..,
Wasl ke wade par.,
Chor chale duniya sabhi
Manzil ka andaaz nahi,
Aur raste ki pehchan nahi.

Monday, March 01, 2010

MAAZI

kya kahe us dard ko hum..
jo na rakhe jinda hume,
aur ne de hone juda is jism se
ris-ta hai ghav ban kar see-ne’ mein
nab eh pata hai ashq aankhoon se

yaadeen hai .. sirf tere saath ke’
jisme tu hi kabhi saath nahi,
meri sansoon mein ghulti khusboo teri,
lekin shayad tujhe ehsaas hi nahi.

Badhh gaye aage tum bhulke sab,
Shayad tumko andaaz nahi,
the wahi khade rahe hum hairan,
jahan se koi aagaaz nahi.

Maazi ke saathe beh kar hum bhi
Nikal gaye su-door kahin
Laut aana bhi jahan se
lagta nahin Mumkin abhi

woh pal tha jasbat tumhara,
ibadat hai mere liye.
Kuch khamosh lamh-oon ka
Tajurba hai jeene ke liye.

Waseeq itna bhi nahi dil mera,
Is tala-tum ke par jaaye phir
Hijrr ki bhi ab chal nahi,
Aur wasl ko bhi na bhol paye kabhi.

Puchta hai maazi aaj bhi humse,
Jawab un sawaloon ka,
Jo samjhe hum kabhi na tumhe,
Un goonj-te anjaan paloon ka.

Aadat ho hayi hai ab,
Bin tumhare jeene ki,
Kuch toothe diloon ko see-ne’ ki
kuch khamosh lamhoon ko jeene ki