Tuesday, July 24, 2007

ajeeb duniya

shayad kuch ajeeb hai yeh duniya sari,
dekho ko toh khud mein ajeeb lagta hai,
aapne jaisa nahin hai koi yahaan,
sirf apna saaya hi kareeb lagta hai.

yeh ajeebo-garibiyat hi haijo yahan tak le aaye,
kabhi kavita kabhi rang bhar paaye,
nahin toh rehte hum bhi sab ke jaise,
roz ki chakki mein piste-rehtee.

na shabd aur na zubaan hoti ki kehne kuch,
aur is jahaan ki tarah rehte chup.
dekhoge mud kar toh sach jaan jaoge,
apne ko nahin is duniya ko ajeeb paoge.

Saturday, July 21, 2007

sukoon payenge

rahega intezaar aapka har waqt phir bhi,
chahe waada aap apna na nibha payenge,
ehsaas hai humein bhi aapki majboori ka,
aap na aa paaye toh hum samajh jayenge.
na karma sawal humse koi,
jawab jiska hum nahi de payenge,
khush rahe aap bhi duniya mein apni,
hum bhi apne mein sukoon payenge,
uthenge dua mein jab bhi haath hamare,
aapki khair bhi manaye-nge.

Friday, July 20, 2007

Badlega Yeh Zamana

Chalta hai tez zamaana humse aur tumse,
Badlega sabhi ko, ya bahaa le jayega saath.
Waqt bhi nahi jo rahe maazi ke jaise,
Na koi guman’ jiska ho intezaar.

Badalna is zaamane mein chahat hai sabki
Koi ilzaam, mukaam aur koi mazhab hai badle
Na badlenge hum is zamaane ko ya tumko
Kuch nazar apni, kuch khudi ko badlege.

Na apni fitrat hai waade na irade,
Par tere liye aaye meher-ba badlege,
Saath deene tera is duniya ki bheer mein.
jhooth hi saahi, tujhe sach kahenge.

Silsila

sansoon ka silsila rahe chalta hamesha,
yadoon ka kafila, rahe na rahe,
zindagi aur muskurahat-oon par yakeen rahe hamesha,
wadoon’ pe kisi ke, rahe na rahe.

aur aayenge mukaam zindagi mein,
dildar purana rahe na rahe...
manzilein wa-basta, ruth jaana hai bahana
inayaat aapki kal rahe na-rahe.

raaste alhaada, chalna bhi hai zaroori,
wasl ki manzlien ek-saar raha na rahe,
Quayamat ke waqt toh miloge hi,
Saath zindagi bhar rahe na rahe.

Monday, July 16, 2007

intezarr

Yeh intezarr hai ki zindagi, Chalti hi nahi kahin bhi,
Na arzoo ke liye, Na manziloon ki aur kabhi bhi.
Thak gaya hai maazi, savera door talak hai,
Na chalti hai, na rukti kaisi yeh sadak hai.
Na saath apnoon ka, aur na koi apna sa hai,
Na hai koi zindagi, na sapna koi sapna hai.
Rooz ek daud hai, chalte hi jaana hai…
Aur isii daud mein kuch sukoon paaya hai.
kya beet gaya, kya aayega… dono hi bas kal hai,
jiske hone na hone ka, ab kisko darr hai.
Na saaya na sarmaya, kya iska wajood hai.
Na puchna chah rahe the hum band darwazoo se,
Par yeh intezaar’e zindagi pukar rahi tez aawazoo se.

Saturday, July 14, 2007

ummed

kya baat hai ki tum humse hi ummed jatate
phir bhi sab batien ho humii se chupate
chale gaye ho durr tum hi,
un manziloon se bhi paar.
mud kar dekha hota toh hume use manzar par pate
saath chalne ki khwaarish na thi tumhe,
toh phir kyon ummeed humse raahgeer ki ho jatate
Bhag kar ke kaho tum hi, Jaye toh jaye kahan
Is jamane ki sun ke tum, kaho sukoon paye kahan
Kya samjhe usse, jo un-suna aur un-suna hai ab talak
Kuch baat apni keh jaate, toh roshan ho jata yeh falak.

Friday, July 13, 2007

Khwarish

rakhte ho khwarish tum dil mein,
kuch kehne ki, kuch sunn-ne ki,
kuch guthiyaan suljhane ke,
kuch naaye tarane gaane ki
keh hum hi rahe par phir bhi chupp hai
kaho kya sunn-ne ki tumko aarzoo hai
Baarish ki woh boondien aur woh ek ehsaas
Bahut saari batien aur bas ho tera saath.
waqt ka bandhan nahi, na kisi kaaydei ka
na kabi kisi ke milne ka, na darr kabhi bichandne ka.
Na raho khaafa, ab toh keh do muskaan,
Bichadna hai toh mat aao, aao toh banker ek dastaan

Thursday, July 12, 2007

Sukoon

Chain aur sukoon nasib kahan is zamane mein
yeh woh dariya hai ho har waqt pyasa rehta hai
likhte the hum sif apne sukoon ke liye
par is dawa se ab unko bhi chain aata hai
iss zamane ke reet purani aur bemani
na unhe na hume ab yeh samajh mein aata hai
ibadat ko woh mohabbat samjhe
aur mohabbat ko woh fitrat hamari
ha-raan hai hum woh kya kya samjhe
hamari muskaan ko woh hamaro khata samjhe.

Tuesday, July 03, 2007

DIL

ek dil hi hai,
jo paane main nahin
khone mein maaza deta hai
khud ko bhi,
dil ko bhi.
dhondooge toh paoge,
khud ko bhi,
aur es dil ko bhi.
yeh dil hi hai jo dhoond leta hai,
chupe huye kuch raaz kai,
karwata hai apse,
apki pehchaan naye,
har roz koi.
eeb-hunar toh sab dekhte hai,
sirf yehi dekh pata hai,
woh ehsaas kai.
khushi bhi jaane hai,
jo dil se gaye muskaan hui.
dil ke saath rakhte hai,
waasiq kuch irade bhi,
na apne liye..
na gairoon ke liye,
us khuda se kiye kuch waade bhi.

Monday, July 02, 2007

Yeh Zindagi Hai

us khuda ke baad tera hi naam aaya,
badi muddattoon ke baad ek salaam aaya,
na khwaarish, na aarzoon,
na tumse, na zamane se…,
yeh zamana kab kisi ke kaam aaya.

Sansoon mein naam basa ke hum,
Jiye jate hai bas is khayal mein hum,
Shayad kabhi kisi pal tujhe bhi,
Kabhi Mera Kahin khayal aaya.

Na pyaar, na saroor,
Yeh Ibadat hai meri,
Kya sapne, kya jism, kya mann, kya saaya.
Samajjo gar jindagi ka phalsafa
Kah hi doge mere saath ..
Na suljha, na suljhaya.

Us malik ki kudrat kya kaid kare koi,
Na kismat ka dosh kabhi humne batlaya.
Bharosa nahi tujhe gar apne par,
Kyon parwar-digar se bharosa uthaya.
Jo hua woh bhi uski marzi se,
Jo nahi woh bhi uska bharpaya.