Saturday, February 05, 2005

Muskaan

Tumhari ankhein kar rahi hai bayan kuch aur
chupi hue ek dil ki dastaan kuch aur
na poochnaa chah rahe the kuch bhi
par woh muskan keh rahi thi kuch aur
Hum se na chupa sakoge,
padh sakte hai sab-kuch
woh bhi jis ko bata na sake koi aur
muskuraye khushi se jab ankhoin ke tare
roshan ho gaye jahan ke ujale
thi muskurarahat woh jis ke liye,
tha woh bhi jane koi aur
bismil hoga saath jiske zindgi ka safar,
hai dil-mein tumhare jaane koi aur.

Friday, February 04, 2005

Kal

kal ka bharosa kya
kal to hai bewafa
par aaj to kar raha wafa
is pal ko bas je-leye hum
jane kitne gam pe leye hum
en gamon ka ho chala hai
nasha humko
en ke bagar kaise je liye hum
nasha karte hai who
kehte hai humse
ji na payege bager iske
puchoo humse jo bin tumhare
jeye ja rahe hai
bahe pasare
dua bas yehi
karte hain khuda se
khush raho tum bhi
bager hamare.

Thursday, February 03, 2005

Lamha

Teri bahon aaj mar bhi jaye to kya gam hai
Tera saath hai, yeh lamha kya kam hai
Intzar karenge Qayamat tak tera…
Umr baki hai, yeh lamha kya kam hai
Bin tumhare kya bataye tumko,
Tum to tum ho, par nahi hum hai.
Aarzoo aakhri yehi hai dil mein,
Saath bitaya who aakhri pal hai
Qayamat ke din to miloge humse
Us din ka Intezaar kar rahe hum hai
Na shikwa, Na koi Shikayat hai tumse
Bas nazar bhar dekhne ko betab hum hai
Dum nikle tere jano par
Yehi Khwarish dil ki bas ab hai
Tere aagoosh mein rahe na rahe hum
Khuda ke aagoosh mein ab hum hai.

Wednesday, February 02, 2005

Na Puchoo

Mein haal-e-dil batana nahi chahta
Un gadhE murdOn ko ukhArna nahi chahta
DArd de jaye jo rishte
Un rishton ko phir banana nahi chahta
Na pucho humse ke huA kya kabhi
Tumko bhi mein rulana nahi chahta
Yeh yAdeen hi hai milkeyat meri
En yadoon ko mein bhulana nahi chahta
Waqt ke saath dhumil ho gayi jo tasveer
Us Tasveer ko phir se banana nahi chahta
Kam ya jyada Jitni bhi mile Zindgi
Un lamhon ko phir dohraha nahi chahta
Jeene ki aarzoo baki hai abhi
Ek-ummeed hai usE thukrana nahi chahta
...Mein haal-e-dil batana nahi chahta.

Tuesday, February 01, 2005

Safar

Safar koi, aur Musafir koi aur
Rah chale koi, aur manzil koi aur
Kar rahe the hum bayan haal-e- dil
Samajh gaye usko kavita koi aur
Na jante the manzil ka pata,
Chal deye phir bhi, rahe koi aur
Dhondhne chale the kisiko hum
Mil gaya rah mein jane koi aur,
Na jante the dil ka hoga yeh haal,
Dard-e-dil kisi ka, fasana koi aur.
Na puchoo ki guzri kaise raat,
Seher tak roya jane koi aur.
Kehte hain hamse ki khush hai hum,
Ankhein keh rahi hai dastan koi aur.
Chal na paye do kadam bhi ek-saath
Safar wahi, humsafar koi aur.
...rah chale koi aur manzil koi aur.