Wednesday, September 12, 2007

Beet Gaya

Chale chale kahan pe aaye,
Waqt purana beet gaya,
Is bhir bhari duniya mein
Ek zamana beet gaya.
kab hasein thee khul ke hum,
khushi ka khazana beet gaya,
is roz ki bhag daud mein
kab muskurana beet gaya,
apne aap se bateen karte,
jaana-pehchana beet gaya,
akele ghadion ko beetane ko
nachna-gaana beet gaya,
chote-chote khwaboon mein
woh khush ho kar jeena beet gaya,
unche sapnoon ko pane ke,
suroor mein jeena beet gaya.
Us khuda ke aage bhi
Sajde mein jhukta hai sar kabhi,
Hathoon ka muradoon mein,
Uthkar jhukna beet gaya.
Kya kya beeta waqt ke saath,
Kuch naya purana beet gaya,
Beeta jo saath tumhare,
Geet meet bhi beet gaya.
Es talatum mein jaane kab
Kya kya dekha humne talak
Hum par es zamane ka
kya kuch nahi ab beet gaya.

Sunday, September 02, 2007

Guzarta hai waqt

En mayoosh si taklifoon mein,
Katra-katra hum jalte rahe,
Kuch dard aur kuch teri yaad mein,
Reh-reh kar hum tadapte rahe.

Guzarta gaya waqt har gaadi
is waqt mein hum bhi guzarte rahe
zindagi roshan thi, hai tumhari,
is zindagi ka gard hum jeete rahe.

Chalti rahi duniya tumhari
Kuch puri kuch adhuri
Par ek adhura pan
Zindagi mein hum seete rahe.

Nasihat tumhari hi mat jao Udhar
Jahan zindagi bhi ek boojh lage.
Toh kyon us raah par nikle khud
Jin pe jaane se humhe hi rook rahe

Saturday, September 01, 2007

Aa bhi jao

rahega intezaar aapka har waqt phir bhi,
chahe waada aap apna na nibha payenge,
ehsaas hai humein bhi aapki majboori ka,
aap na aa paaye toh hum samajh jayenge.

door jaa kar ke bhi soochte ho humain hi
kehte hain en fasloon se tumhe bhula payenge
en barishoon en thandi hawaoon main bhi
tumhari yaadoon mein phir chale aayenge.

kar longe band gar darwaaze bhi ghar ke
apne jazbatoon ko kya band kar paoge
en kitaboon aur mazaaroon ki dewaaroon
mein kya tum apne aap ko rook paoge.

Na bula-yenge tumhe kitna bhi yaad aao
Chahe qyamat tak khud ko tadpayenge,
door jaana thi aap ki marzi,
par laut ke aap zaroor aayenge.