Wednesday, February 02, 2005

Na Puchoo

Mein haal-e-dil batana nahi chahta
Un gadhE murdOn ko ukhArna nahi chahta
DArd de jaye jo rishte
Un rishton ko phir banana nahi chahta
Na pucho humse ke huA kya kabhi
Tumko bhi mein rulana nahi chahta
Yeh yAdeen hi hai milkeyat meri
En yadoon ko mein bhulana nahi chahta
Waqt ke saath dhumil ho gayi jo tasveer
Us Tasveer ko phir se banana nahi chahta
Kam ya jyada Jitni bhi mile Zindgi
Un lamhon ko phir dohraha nahi chahta
Jeene ki aarzoo baki hai abhi
Ek-ummeed hai usE thukrana nahi chahta
...Mein haal-e-dil batana nahi chahta.

No comments: