Thursday, July 14, 2005

Tumhare siva... Koi nahi

Dil mein mere hai tu-hi-tu
Tere siva bas koi bhi nahi
En nazron mein bhi tu-hi-tu
Nazaaron mein, koi bhi nahi
Na dard, na shikwa
Na doori, na vichora
deedar-e-yaar ke siva, Koi bhi nahi
Es dil main, En sasoon mein
Teri dharkan ke siva, koi bhi nahi
na bicharne ka darr
na judai ka ghamm,
ek Milan ke siva, koi bhi nahi
na koi shikwa, na koi shikayat
pyaari baton ke siva, koi bhi nahi
a ghar, na bahar
mere dil ke siva, tu kahin bhi nahin
vasta hai jo dil mein mere
us khuda ki siva, koi bhi nahi.

Saturday, July 09, 2005

Mere Dil Mein Tu... Sirf Tu

Basta hoga mazi ke par koi,
door daraz badloon mein,
sun raha hai jo sabki s-da,
pyar se kabhi phus-phusa ke woh,
kanon mein kuch keh jata hai,
to kabhi tandi hawa ban ke woh,
dheere se choo jata hai,
barish ki boondoon ban-kar,
sheetal man kar jata hai,
to kabhi khushi ban kar,
aankhoon se beh jata hai,
kabhhi-kabhi sapnoon ki tarah,
palkoon mein bas jata hai,
to kabhi dharkan ban kar
dil-oon ko bhi dukhata hai
dua mein bhi, puja mein bhi
bas sab-mein bas jata hai
aye khuda kaise tu
hum-sab mein rach-bas jata hai...

Monday, July 04, 2005

Poetry In Emotion

Aahat kisi ki,
yaa toofan koi hai,
Yeh Zindgi ki raftaar hai
Chal rahi sansein meri.

Dekh ke lagta hai tumhe
Ki tham gaya hai samayt
Phir tez chal rahi ghari ki sui
Ya phir dharkta mera dil hai.

Na koi khawab,
Na ummeed,
En palkon mein hai aaj
Phir bhi enhe band kar ke
Dikhta koi hai.

Na mandir,
Na Mazjid,
Mein karte the dua hum,
Mannat mang rahe aaj
Kairiyat kisi ki hai.

Jis manzil par raahe khatam
Ho jati hai,
Un raahon ko chale karne
Muqammal aa,
Manzil koi hai.

Aaye khuda,
rehna saath mere hardum,
kyonki raah bhi tu,
aur manzil bhi,
tu hi hai.