Sunday, November 26, 2006

Vaasiyat (Hier)

deta hai toh de
us parwar digar ka aasra,
na jaye is dar se koi
ho ke koi be-parwah
lauta sake
woh muskurahat
kho gaye jo is bhirh mein
banane ko chale uski
takdir mein
na mila khuda,
na khushi mili,
is bhaag daud mein
na zindagi hi jee
un thake haroo ko..,
mile rahat ki saans..,
zindgi unki ho phir aabaad,
humsafar, humrahi,
sada rahe saath.

De sakta hai toh de..,
Khushi mere Hum-Nawaz ki,
Us khuda.., us parwar-digar ki
Saath jiska na bhichre
Zindgi bhar..,
Phir na rahe kami,
Kisi sarfiraz ki.
Zindagi ho muqammal,
Us ki bahoon mein,
Ho fanaa …toh bhi uski
Chaahon mein.

Likhta hai vasiyaat..
Toh likh mere naam yeh..,
Nahi toh diya jo bhi..
Woh kis kaam ke.

Khudaye de.,de
Na mange kuch aur hum,
Sab kuch hi diya tune.,
Aur kya hai gum.