Friday, August 31, 2007

Ranjish

na rakho ranjish hum se ab itni
ki ek saans sukoon ki le na sake
un katroon bhari zindagi ko bhi
kuch tukroon mein bhi jee na sake.

Na fitrat meri aur na junoon hi hai
Ki mausiki ko apni zindagi bana sake.
Raahe alhada safar hai mushkil.
Jaana wahi hai aur hum kaha ja sake.

Talatum hai yeh safar hamara,
Humsafar usi ko sirf bana sake,
Waseeq ho dil aur irada jiska,
Zindagi apni hamari sawaar sake.

Thursday, August 30, 2007

Between me and you

Have you ever thought
Over the years…
Whenever we’re together
And apart as peers.
There could be something beyond,
What the two eyes could see..,
In the small little heart that
In the ribs continues to beat.
A tiny feeling… a little sparke,
a delicate bond that’s little apart.
The caring and sharing…,
Just between us two..,
And the comfort level that
No one else knew.
The trust and the faith.,
Increasead with time.,
And we both knew it’ll
Stand with trine.
The rights on the other,
Taken before defiend.
The possession..,
And the bother came untold.
Yet what there …
that still needs to unfold.,
either its mystry..,
or a feeling to be told.
…… have u ever thought.

Thursday, August 09, 2007

Rooth Kar

kya kahen unko jo karke band sab darwaze
lagaye hai umeed ki hum de unhe aawazee,
dastak to di humne kai baar phir bhi...,
shayad kabhi woh hamen bhi sun paate.

kehte hai kiya nahin humne baayan-e-dil,
en nigahoon ko kaash kabhi tum padh paate,
baithe hai rooth kar na rakhhi baat na dil,
majboori hamari thi tumhi samajh jaate.

Kya wasl ka waada, kya hijr ka gham,
Kisi bhi ehsaas se ho ab bekhabar tum,
Kareeb aa kar bhi itna dil ke hamare,
En dharakanoon ko bhi nahi sun paate.

us muskaan ka sabab bas itna hi,
apne gamoon se tumhe door rakh paate,
saath do-ge kya hamara tum zindagi bhar,
kuch kadam bhi jo saath nahi chal paate.

Wednesday, August 08, 2007

Kisliye

yeh intezaar bhi hai kisliye..,
wasl ke waade ka ya phir seher ke liye,
guzarta hoon main bhi waqt ki tarah,
unki gali se har roz unhe hi dil main liye.

intezaar hai ki nazar aayege woh,
dhoonte mujhe woh charag hathoon mein liye,
etbaar-e-dil par shayad huye katl kitne,
roz mere armaan umeed-een liye huye.

waseeq itna bhi nahi dil unka,
hijr-re shab rahe sambhale huye,
baitha hoon intezaar mein isliye..
dekha hai seher ko ab aate huye.