Monday, March 01, 2010

MAAZI

kya kahe us dard ko hum..
jo na rakhe jinda hume,
aur ne de hone juda is jism se
ris-ta hai ghav ban kar see-ne’ mein
nab eh pata hai ashq aankhoon se

yaadeen hai .. sirf tere saath ke’
jisme tu hi kabhi saath nahi,
meri sansoon mein ghulti khusboo teri,
lekin shayad tujhe ehsaas hi nahi.

Badhh gaye aage tum bhulke sab,
Shayad tumko andaaz nahi,
the wahi khade rahe hum hairan,
jahan se koi aagaaz nahi.

Maazi ke saathe beh kar hum bhi
Nikal gaye su-door kahin
Laut aana bhi jahan se
lagta nahin Mumkin abhi

woh pal tha jasbat tumhara,
ibadat hai mere liye.
Kuch khamosh lamh-oon ka
Tajurba hai jeene ke liye.

Waseeq itna bhi nahi dil mera,
Is tala-tum ke par jaaye phir
Hijrr ki bhi ab chal nahi,
Aur wasl ko bhi na bhol paye kabhi.

Puchta hai maazi aaj bhi humse,
Jawab un sawaloon ka,
Jo samjhe hum kabhi na tumhe,
Un goonj-te anjaan paloon ka.

Aadat ho hayi hai ab,
Bin tumhare jeene ki,
Kuch toothe diloon ko see-ne’ ki
kuch khamosh lamhoon ko jeene ki

No comments: