Monday, January 22, 2007

Zindagi ki daud mein..

Zindagi ki bhag daud mein,
Zarzar huye kadam mere
Nazroon ke who kafile
bhi door ho chale mere
kap kapate hathoon neb hi
ab yeh dua mangi hai
bas karo yeh kafile
ab haar maine mangi hai

thak gaya hoon
pak gaya hoon
zindagi se ladte ladte
marr gaya hoon
tarr gaya hoon
haalat se darte-darte

bas karo ab
bahut hua jab
aaye meri bari hai
haari baazi ab jeetne ki
maine mann mein thani hai.

Kal ki parwah na mujhe ab
na logon ki fikr hai
kal tak tha jo, ab nahin
dil utna majboor hai

aaj sirf mere kandhoon par
mera hi nahin boojh hai
tha bharosa jin kisi ko
unki bhi yehi sooch hai

kahan jaye yeh
kab khatam ko
zindagi ke yeh kafile
chalte jana es par hardam
ban kar koi sar-firee’.

No comments: