Saturday, January 20, 2007

Hum Aaj…

bahoon ke ghere mein
basa lo aaj hamen
kabhi kahin se tum bhi
pukar lo aaj hamen
koshish kar rahe barsoon se ke
samajh jao ab toh aaj hamen

dil dharkata toh hai tumhara bhi
shayad aaj tak hamare liye
par is baat ko ab
keh bhi do aaj hamen

chupa rakha tha barsoon tumne,
band darwazoon ke bhitar,
baahar aa kar milne doo..
us shaks se aaj hamen.

Bahut na kar sakege intezaar hum
Qyamat se pehle tum aa jao
Lagta hai ki baha na le jaye
yeh tez lehar aaj hamen.

No comments: