Thursday, January 18, 2007

Sarkar ki Zindagi… …... Be-raftar ki Zindagi

yeh sarkar ki zindagi..,
hai be-raftar ki zindagi.
Babu-o ki mehfil mein..,
Bureaucracy ka chand hai.,
aur file-y move karne ka
nirala hi andaz hai.
subah hoti yahan din main hai
din suraj se pehle chup jata hai
aur babu logon ko gup karne mein
mazaa bad aata hai.

Afsar’ sar peet kar..
Din- bhaar chillaate rehte hai
par daftari ke kanon par
juu tak nahin reng pate hai.

Sarkar ne sab se nibatne ka
Anothaa tarika nikala hai
external staff ke naam par
private bana dala hai

ab har department ko
nile free ke bande
peon, clerk, accountant ka kaam
thoore paisoon mein karde.

naye en logon ne
gaadi sarkar ki gear mein dali hai
kuch sarkar ne
en-ki badolat rafter nayi
paa li hai.

No comments: