Wednesday, January 17, 2007

Koi Darr Nahin

aa-kar teri panahoon mein
ab-kisi aur makaan’ ki grz nahin
tera saath hai toh kya kam hai
kisi aur saath ka marm nahin
sar par jo karam tera
toh is duniya ka darr bhi nahin
jo safar tera aur humrahi bhi tu
toh kabhi akele hum bhi nahin
gar’ jee liye kuch pal sang tere
toh ab marne ka gam’ bhi nahin
mar-mar ke jiye toh kya jiye
zinda ho par zindagi bhi nahin
milna hai usse quayamat par
tab tak bismil kuch bhi nahin
kya insaan.. kya waqaya bichre
reham uska na bichre..
...toh koi darr nahin.

No comments: