Tuesday, February 01, 2005

Safar

Safar koi, aur Musafir koi aur
Rah chale koi, aur manzil koi aur
Kar rahe the hum bayan haal-e- dil
Samajh gaye usko kavita koi aur
Na jante the manzil ka pata,
Chal deye phir bhi, rahe koi aur
Dhondhne chale the kisiko hum
Mil gaya rah mein jane koi aur,
Na jante the dil ka hoga yeh haal,
Dard-e-dil kisi ka, fasana koi aur.
Na puchoo ki guzri kaise raat,
Seher tak roya jane koi aur.
Kehte hain hamse ki khush hai hum,
Ankhein keh rahi hai dastan koi aur.
Chal na paye do kadam bhi ek-saath
Safar wahi, humsafar koi aur.
...rah chale koi aur manzil koi aur.

2 comments:

Kamakaze said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Kamakaze said...

Jubaan pe kissa aur hai, tah-e-dil koi aur
Jahan pe dooba tha main, tha saahil koi aur
Intehaa intezaar ki, par yeh anjaam nahin hai
Qayamat ki raat mein bhi hoga safar bismil koi aur

Yahan to kuchh bhi nahin us jagah ke jaisa hai
Jahan raat gujari, thi woh mehfil koi aur

Raaste alhada aur phir bhi humsafar hai Kam
Sabko wahiin pe jaana hai, kaise ho manzil koi aur