Wednesday, September 12, 2007

Beet Gaya

Chale chale kahan pe aaye,
Waqt purana beet gaya,
Is bhir bhari duniya mein
Ek zamana beet gaya.
kab hasein thee khul ke hum,
khushi ka khazana beet gaya,
is roz ki bhag daud mein
kab muskurana beet gaya,
apne aap se bateen karte,
jaana-pehchana beet gaya,
akele ghadion ko beetane ko
nachna-gaana beet gaya,
chote-chote khwaboon mein
woh khush ho kar jeena beet gaya,
unche sapnoon ko pane ke,
suroor mein jeena beet gaya.
Us khuda ke aage bhi
Sajde mein jhukta hai sar kabhi,
Hathoon ka muradoon mein,
Uthkar jhukna beet gaya.
Kya kya beeta waqt ke saath,
Kuch naya purana beet gaya,
Beeta jo saath tumhare,
Geet meet bhi beet gaya.
Es talatum mein jaane kab
Kya kya dekha humne talak
Hum par es zamane ka
kya kuch nahi ab beet gaya.

No comments: