Saturday, September 01, 2007

Aa bhi jao

rahega intezaar aapka har waqt phir bhi,
chahe waada aap apna na nibha payenge,
ehsaas hai humein bhi aapki majboori ka,
aap na aa paaye toh hum samajh jayenge.

door jaa kar ke bhi soochte ho humain hi
kehte hain en fasloon se tumhe bhula payenge
en barishoon en thandi hawaoon main bhi
tumhari yaadoon mein phir chale aayenge.

kar longe band gar darwaaze bhi ghar ke
apne jazbatoon ko kya band kar paoge
en kitaboon aur mazaaroon ki dewaaroon
mein kya tum apne aap ko rook paoge.

Na bula-yenge tumhe kitna bhi yaad aao
Chahe qyamat tak khud ko tadpayenge,
door jaana thi aap ki marzi,
par laut ke aap zaroor aayenge.

No comments: