Thursday, August 09, 2007

Rooth Kar

kya kahen unko jo karke band sab darwaze
lagaye hai umeed ki hum de unhe aawazee,
dastak to di humne kai baar phir bhi...,
shayad kabhi woh hamen bhi sun paate.

kehte hai kiya nahin humne baayan-e-dil,
en nigahoon ko kaash kabhi tum padh paate,
baithe hai rooth kar na rakhhi baat na dil,
majboori hamari thi tumhi samajh jaate.

Kya wasl ka waada, kya hijr ka gham,
Kisi bhi ehsaas se ho ab bekhabar tum,
Kareeb aa kar bhi itna dil ke hamare,
En dharakanoon ko bhi nahi sun paate.

us muskaan ka sabab bas itna hi,
apne gamoon se tumhe door rakh paate,
saath do-ge kya hamara tum zindagi bhar,
kuch kadam bhi jo saath nahi chal paate.

No comments: