Thursday, May 17, 2007

Tham Si Gaye Zindagi

ek jhonke ke baad,
tham gaye zindagi,
ek hansi ke baad,
rukh gaye har khushi,

un thode lamho ke par,
nahin koi kafila raha ab.
is zindagi ki naav mein,
beh gaye zindagi.

dhondte hain har shabd mein,
har lamhe mein,
har waqt mein tumko,
shayad humko hi bhul-kar,
chale tum aur koi manzar par.

is manzar ke maazi par
reh-guzar yeh zindagi.

laut kar toh dekho,
kitne thake hum hai,
bahen pasare huye,
ankhien bhi num hai.
aas lage ke bethe,
ke wapas tum aaoge,
us maazi us baat ko,
phir se dohraoge,
woh khil-khilati haasi,
woh saath tumhara,
bhar lena woh pyar se
bahoon me apni,
luta dene khushiyaan,
jahan mein jitni.

aa jao wapas jahan chale gaye ho tum,
nahi reh pa rahe akele ab is jahan mein hum.
bol do us khuda ko,
jaane de mujhe,
nahi toh paas use aane de mere.

No comments: