Saturday, May 26, 2007

Khamoosh hai zindagi

Zindagi ki raftar mein
khamoosh hai yeh zindagi,
en roz-bhaag ki daud mein
tham gaye hai har khushi.

baas daudte hi jaana,
na koi apna thikana,
har kisi ehsaas se hi
apne ko pare hi pana.

es daud bhaag mein toh
bhool gaye aaj yeh bhi
kahan se aaye the hum
jaa rahe kha hum ab bhi.

bhagte the te jis se hum
woh duniya ki daulat-e
daud-ra rahi hume aaj woh
ban ke roz zarurat-e

khawab tha,
na manzelien,
na jagmagati roshni,
bas chota sa asshiyaan,
aur muthi bhar si yeh zameen,
woh masoom si ek hansi,
aur khula hua sa aasmaan,
en khushiyoon main shamil,
ek chota sa aashiyaan.

ho aameen khuda ki joh,
toh khul jaye har raah bhi,
en khamoosh sukhe hoothon par
bhi khilkhilaye ek hansi.

No comments: