Monday, July 04, 2005

Poetry In Emotion

Aahat kisi ki,
yaa toofan koi hai,
Yeh Zindgi ki raftaar hai
Chal rahi sansein meri.

Dekh ke lagta hai tumhe
Ki tham gaya hai samayt
Phir tez chal rahi ghari ki sui
Ya phir dharkta mera dil hai.

Na koi khawab,
Na ummeed,
En palkon mein hai aaj
Phir bhi enhe band kar ke
Dikhta koi hai.

Na mandir,
Na Mazjid,
Mein karte the dua hum,
Mannat mang rahe aaj
Kairiyat kisi ki hai.

Jis manzil par raahe khatam
Ho jati hai,
Un raahon ko chale karne
Muqammal aa,
Manzil koi hai.

Aaye khuda,
rehna saath mere hardum,
kyonki raah bhi tu,
aur manzil bhi,
tu hi hai.

No comments: