Tuesday, June 05, 2007

Khamoshi ki Zubaan

Khamoshi ki Zubaan,
kaash tum sun paate,
Un khamossh lamhoon mein bhi…
kuch sur gungunate.

Ta-umr karte rahe koshish,
Samzhaa-ne ki tumko,
Woh jo humne kaha nahin,
Kaash tum woh sun pate.

Na koi ummeed, na aarju
Ki humne tumse,
Phir kyon sirf hum par hi
Ilzaam tum yeh phir lagate.

Na dosti, na jaa
Manga tha sirf tumko,
Ek nazar us nacheez ki,
Reh-guzar ho humko.

Umeed kya kare tumse,
Sirf hai tumhe chahte,
Itni duriyaan hai ki,
Kaise tumhe batate.

Samazh lo khud hi
es khamoshi ki zubaan
shayad na ho kal hum,
kehne ko alvida.

Saturday, May 26, 2007

Khamoosh hai zindagi

Zindagi ki raftar mein
khamoosh hai yeh zindagi,
en roz-bhaag ki daud mein
tham gaye hai har khushi.

baas daudte hi jaana,
na koi apna thikana,
har kisi ehsaas se hi
apne ko pare hi pana.

es daud bhaag mein toh
bhool gaye aaj yeh bhi
kahan se aaye the hum
jaa rahe kha hum ab bhi.

bhagte the te jis se hum
woh duniya ki daulat-e
daud-ra rahi hume aaj woh
ban ke roz zarurat-e

khawab tha,
na manzelien,
na jagmagati roshni,
bas chota sa asshiyaan,
aur muthi bhar si yeh zameen,
woh masoom si ek hansi,
aur khula hua sa aasmaan,
en khushiyoon main shamil,
ek chota sa aashiyaan.

ho aameen khuda ki joh,
toh khul jaye har raah bhi,
en khamoosh sukhe hoothon par
bhi khilkhilaye ek hansi.

Thursday, May 17, 2007

Tham Si Gaye Zindagi

ek jhonke ke baad,
tham gaye zindagi,
ek hansi ke baad,
rukh gaye har khushi,

un thode lamho ke par,
nahin koi kafila raha ab.
is zindagi ki naav mein,
beh gaye zindagi.

dhondte hain har shabd mein,
har lamhe mein,
har waqt mein tumko,
shayad humko hi bhul-kar,
chale tum aur koi manzar par.

is manzar ke maazi par
reh-guzar yeh zindagi.

laut kar toh dekho,
kitne thake hum hai,
bahen pasare huye,
ankhien bhi num hai.
aas lage ke bethe,
ke wapas tum aaoge,
us maazi us baat ko,
phir se dohraoge,
woh khil-khilati haasi,
woh saath tumhara,
bhar lena woh pyar se
bahoon me apni,
luta dene khushiyaan,
jahan mein jitni.

aa jao wapas jahan chale gaye ho tum,
nahi reh pa rahe akele ab is jahan mein hum.
bol do us khuda ko,
jaane de mujhe,
nahi toh paas use aane de mere.

Monday, January 29, 2007

TUM

Lagta hai ki,
aas-paas ho tum.
Kabhi door..
kabhi paas ho tum.
nazar utha kar dekha toh
samne.. aaj ho tum
yakeen nahi ankhoon par apni
sach nahi..
ehsaas ho tum.
band palkoon mein basa hua
tanha dil ka khawab ho tum.
na jante- pehchante tumhe hai
chupa hua koi raaz ho tum.
haath uthe ebadat mein jiske
un aayat ki namaaz ho tum.

Sunday, January 28, 2007

Mera Kya Kasoor

agar tum mujhe na bhool pao
toh mera kya kasoor.
tum sirf mujhse dil lagao
toh mera kya kasoor.
kitne raahgeer hai raste mein
par saath sirf mera hi chaho
toh mera kya kasoor.
na kahaa maine..,
naa puchaa tumne,
phir bhi ilzaam mujh-par hi lagao
toh mera kya kasoor.
na kaha tumhe kuch,
na suna tumne kuch,
par ilzaam mujh par hi lagao
toh mera kya kasoor.
waqyaat purana hai,
gujara zamana hai,
har-waqt yaad dila-o,
toh mera kya kasoor.
itehaan yeh tumhara hai,
savera kal hamara hai,
maazi ko na chod-pao
toh mera kya kasoor.
na-khata meri,
na-khata teri,
na ilzaam kisi pe lagao
na-tera kasoor,
na hi mera kasoor.

Saturday, January 27, 2007

Till Death Do us part

<em>Preface
This is “Pledge”, and that is for you.


In sickness as in health,
In poverty as in wealth,
In sorrow as in joy..,
When time plays us like toy,
In loneliness as in company,
In personal as in too-many,
In life’s small meagres
As when time gives in degrees,
In blood when it counts
As when it re-creates in bounts(y).
In learning each life.,
As in teaching real strife.
In life’s each giving
As in receiving from a preaching.
In all that matters..,
As in what we battle.
Together we’ll be there..
And till death do us part.

This is a pledge
And that is for You.

Friday, January 26, 2007

Time-Strand and ‘NOW’

At times I feel
The time standing still
when all that I could feel
with you next to me-el.
The world shrinks so small
With you and me in all
and no one any more.,
Just your and mine soul.
merging n playing.,
a game that’s searching,
each other into more,
your and mine soul.
The hard and the soft
one water, other solid rock
breaking and merging,
the ethos and egos,
to the love they desired,
that’s fascinating and flaming.

They say that it can happen
only by chance..,
The hard and the soft’s
indulging romance.
Inside each other
They always exist.,
A soft heart inside.,
The hard cover story.
Underneath petal soft roses,
resides the hard protection
of the throny.
So.. you see..,
It’s a mirror image,
The vision is opposite.,
But same to relate.

Its just a matter,
of Time-Strand to allow,
to each other..,
tomorrow or NOW.

Thursday, January 25, 2007

Jaane kyon..

Itezaar hai kiska tumhe
Kya samazh nahi aata hai
Kyon un miloon paar
Koi tumhe bulata hai
Din bhar mein reh-reh kar
Kabhi kisi kone se…
Dheere se, chupke se
Dhayan kisi ka aata hai
Kyon koi muskurahat yaad kar
Tum achanak muskurate ho
Aur phir uske batoon mein
Khud ko bhul jaye ho.
Din ke masroof paloon mein
Tum kabhi lag jate ho..,
Aur phir sapna samajh kar
Us ko bhool jaate ho.
Kyon kabhi dil saath uske
Ghantoon tak batiyaata hai
Phir vast-vik-ta mein aa kar
Maoos ho jaata hai.
Kyon rahoon par chalet hue
Nazreen unko dhoondti hai
Aur ghar ka darwaza
Ek nazar taras-ta hai.

Jao pucho us maazi se
Kya khata yeh meri hai
Jiski zindagi-bhar tak ki
Sazaa us ne suna di hai

Kya karoon, kya na karoon
Yeh duvidha ajeeb hai
Halaat se samjhota karon…
…Ya khud ki takdeer se.

Wednesday, January 24, 2007

Tuesday, January 23, 2007

Usi Manzarr Par

Tum kehte ho ki
tumhe hum bhool jaye
un baton, un paloon ko
usi manzar pe chor aaye
woh guzara tha waqt saath jo
us waqt ko waqt ke saath
bhool aaye
woh yadeen
inhe sanjoo rakhaa barsoo
unhe kahin dafn kar aaye
woh moti samete the jo palkoon par
ab unka haar banaye

kya kar sakte ho
tum woh sab jo
umeed humse karte ho
to kyon nahin apne ko
humari jagah parakhte ho

jaise tum ho
waise hi hum..,
kehte tum parchayii the..,
ab waqt parakhne ka toh
kehto ho..,
bhulaye de.

Puchoo apne se toh,
Kya tum yeh kar paye ho
Nahin toh baar-baar
Kyon.., yeh yaad dilaye ho.

Monday, January 22, 2007

Zindagi ki daud mein..

Zindagi ki bhag daud mein,
Zarzar huye kadam mere
Nazroon ke who kafile
bhi door ho chale mere
kap kapate hathoon neb hi
ab yeh dua mangi hai
bas karo yeh kafile
ab haar maine mangi hai

thak gaya hoon
pak gaya hoon
zindagi se ladte ladte
marr gaya hoon
tarr gaya hoon
haalat se darte-darte

bas karo ab
bahut hua jab
aaye meri bari hai
haari baazi ab jeetne ki
maine mann mein thani hai.

Kal ki parwah na mujhe ab
na logon ki fikr hai
kal tak tha jo, ab nahin
dil utna majboor hai

aaj sirf mere kandhoon par
mera hi nahin boojh hai
tha bharosa jin kisi ko
unki bhi yehi sooch hai

kahan jaye yeh
kab khatam ko
zindagi ke yeh kafile
chalte jana es par hardam
ban kar koi sar-firee’.

Sunday, January 21, 2007

Dil mein basa

Ret ke gharonda mera
Aasman se rasta jata hai
Khitiz ke par koi
Mujhko bulata hai
De kar aawaj dheere se
Phir badlon mein chup jata hai
Suraj ki pehli kiran main
Parchai uski dhikti hai’
phir subaah ki dhoop banker
Woh khil ke, muskurata hai
Kabhi o ski boondeen banker
Palkoon pe gir jata hai
Aur kabhi bearish banker
Pyar mein nehlata hai
Sariyoon ki dhund mein
Kabhi gum ho jata hai
Aue kabhi tez suraj sa
Tan ko jhulsata hai
Zindgi ke sab rang
Baras bhar mein sikhlata hai
Yeh dilli ka mausam hai..
… .. dil mein bas jata hai

Saturday, January 20, 2007

Hum Aaj…

bahoon ke ghere mein
basa lo aaj hamen
kabhi kahin se tum bhi
pukar lo aaj hamen
koshish kar rahe barsoon se ke
samajh jao ab toh aaj hamen

dil dharkata toh hai tumhara bhi
shayad aaj tak hamare liye
par is baat ko ab
keh bhi do aaj hamen

chupa rakha tha barsoon tumne,
band darwazoon ke bhitar,
baahar aa kar milne doo..
us shaks se aaj hamen.

Bahut na kar sakege intezaar hum
Qyamat se pehle tum aa jao
Lagta hai ki baha na le jaye
yeh tez lehar aaj hamen.

Friday, January 19, 2007

Jaane kahan yeh karvaan

is dhoop mein..
is roop mein
chalte hai hum kahan..
na manzileen,
na raaste..,
phir bhi yeh hi hai jahaan…
jaane kahan .., yeh karvaan.

Na khawarisheen,
Na-gile, shikve
Chalna hi muqaddar yahaan,
Jaane kahan.., yeh karvaan.

Thursday, January 18, 2007

Sarkar ki Zindagi… …... Be-raftar ki Zindagi

yeh sarkar ki zindagi..,
hai be-raftar ki zindagi.
Babu-o ki mehfil mein..,
Bureaucracy ka chand hai.,
aur file-y move karne ka
nirala hi andaz hai.
subah hoti yahan din main hai
din suraj se pehle chup jata hai
aur babu logon ko gup karne mein
mazaa bad aata hai.

Afsar’ sar peet kar..
Din- bhaar chillaate rehte hai
par daftari ke kanon par
juu tak nahin reng pate hai.

Sarkar ne sab se nibatne ka
Anothaa tarika nikala hai
external staff ke naam par
private bana dala hai

ab har department ko
nile free ke bande
peon, clerk, accountant ka kaam
thoore paisoon mein karde.

naye en logon ne
gaadi sarkar ki gear mein dali hai
kuch sarkar ne
en-ki badolat rafter nayi
paa li hai.

Wednesday, January 17, 2007

Koi Darr Nahin

aa-kar teri panahoon mein
ab-kisi aur makaan’ ki grz nahin
tera saath hai toh kya kam hai
kisi aur saath ka marm nahin
sar par jo karam tera
toh is duniya ka darr bhi nahin
jo safar tera aur humrahi bhi tu
toh kabhi akele hum bhi nahin
gar’ jee liye kuch pal sang tere
toh ab marne ka gam’ bhi nahin
mar-mar ke jiye toh kya jiye
zinda ho par zindagi bhi nahin
milna hai usse quayamat par
tab tak bismil kuch bhi nahin
kya insaan.. kya waqaya bichre
reham uska na bichre..
...toh koi darr nahin.

Tuesday, January 16, 2007

Na Jaane kyon

Dhoonta hai koi,
Na jaane kyon..
Kis cheez.. kis shaks ko..,
Na jane kyon..
Chod aaya jise.. barsoon pehle,
us waqeyaat.. us manzar ko..
Na jane kyon..
Puchta phirta hai, thikana uska..
na-naam, na-pata,
na jane kyon..

chupa kar aaiena sare ghar ke,
dhoondta hai apni tasveer,
na jaane kyon.
dekhkar apne ko logon mein
sochta hai bikhra hoon..
tukroon mein
na jaane kyon..
naazuk hai yeh aaiena mera,
toote na darr lagta
na jaane kyon
bharosa nahin abhi tum par
khud par hai kya..!
na jaane kyon..

dekho kholkar aankhen tum
who tukre, ansh tumhara hai
samete pal who pyar bhare
simtaa jahan sara hai
chupa ke jahan ko andar tum
chupte sabse
...na jaane kyon.

Monday, January 15, 2007

Dhoondte ho kise

kitabon mein, shabdoon mein,
dhondte ho kise,
galiyoon mein, shaeroon mein,
khojte ho kise,
be-shabd, be-naam,
ka hai jo,
na-jaan, na-pehchan ka hai woh,
na naata , na rishta,
na pehchan uski,
phir bhi lagta hai,
barsoon beeti..,
sang jiske.. yeh ghadiyaan..
khatti-meethi
is bhir bhari duniya mein
kho gaya hai woh,
aaiena jaisa lagta hai joh,
tasveer dikhti tumhari jisme hai,
kya parchai jaisi lagti sari hai,
aawaz de kar,
pukar kar dekho,
koi sawal toh utha kar toh dekho,
shayad jawab karta ho intezaar,
sukon mile phir mere bhi dil ko.

Monday, December 04, 2006

Na Tum jano…. Na Hum

Bhir mein bhi woh..,
Tanha kyon hai..
Saath chal rahe..
Phir bhi juda kyon hai..,
Faasla nahi raha darmiyaan ab kuch,
Phir dil itne juda kyon hai.
Saasoon mein khoshboo bas gaye jiski,
Par dil main woh ab tak basa kyon nahi hai.

Us bewafa se na karenge dil ki baat hum,
Apnaya naa jisne..,
Aur bhool paya jo hamen nahi hai.
Kitna samzaaya us kam-naseeb ko.
Fariyaad yeh teri nahi..,
Sajde me mein tere hum hai.
Na karo gila..,
Na shikwa humse,
Tarap rahe tum nahi..
Seh rahe dard bhi hum hai.
Miloge jab bhi kayamat ke waqt toh..,
es intezaar mein safar kar rahe hum hai.

Sunday, November 26, 2006

Vaasiyat (Hier)

deta hai toh de
us parwar digar ka aasra,
na jaye is dar se koi
ho ke koi be-parwah
lauta sake
woh muskurahat
kho gaye jo is bhirh mein
banane ko chale uski
takdir mein
na mila khuda,
na khushi mili,
is bhaag daud mein
na zindagi hi jee
un thake haroo ko..,
mile rahat ki saans..,
zindgi unki ho phir aabaad,
humsafar, humrahi,
sada rahe saath.

De sakta hai toh de..,
Khushi mere Hum-Nawaz ki,
Us khuda.., us parwar-digar ki
Saath jiska na bhichre
Zindgi bhar..,
Phir na rahe kami,
Kisi sarfiraz ki.
Zindagi ho muqammal,
Us ki bahoon mein,
Ho fanaa …toh bhi uski
Chaahon mein.

Likhta hai vasiyaat..
Toh likh mere naam yeh..,
Nahi toh diya jo bhi..
Woh kis kaam ke.

Khudaye de.,de
Na mange kuch aur hum,
Sab kuch hi diya tune.,
Aur kya hai gum.